Fazail O Manakib E Ali Ibn Abu Talib post 01


FAZAIL O MANAKIB E Aliyul Murtaza Karmallahu Wajjah Virtues of Maula Ali Radi Allaho Anho Hazrat E HAZRAT ALI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ka Mukhtasar Tarruf Aur Aap ki Wiladat Ka Bayan
Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ki Wiladat Ailaan e Nabuwat k 10 Saal Kabl yaani Jab Huzoor Nabi E REHMAT صلى الله عليه وآله ki Umr Mubarak 30 Baras thi Tab Huwi.
13 Rajjabul Murajjab Baroz E Juma Ko Huwi.
Aap Ki Wiladat Khana E Kaaba Me Huwi.
Reference :
(Imam Hakim Al Mustadrak, Vol : 04, Pg : 611, Hadees : 6018)

Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه k Walidain Hazrat Abu Talib aur Walida Hazrat Fatima bint E Asad Radi Allaho Anha hai.
Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ka Naam “HAIDAR” unki walida ne Apne Walid Yaani Hazrat Ali k naam pe Haidar Rakha.
Hazrat Abu Talib ne aapka Naam “ALI” rakha.
Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه k Dusre Naam jaise
“ASADULLAH - ALLAH KA SHER” ,
“KARRAR - PALAT PALAT K HAMLA KARNE WAALA ”
“MURTAZA - CHUNA HUWA (SELECTED)”
“MAULA MUSHKIL KUSHA” ye aapke mashoor alkabat hai.
(Miratul Manajih Shara E Mishqat Al Masabih, Vol :8, Pg :412)
“ABU TURAB” aur “ABUL HASAN” ye aapki kunniyat hai.
Hazrat Usman Zunoorain رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه k Shahadat k baad Aap رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه khilafat k mansab pe kayam huwe aur 04 saal 09 mahina 08 din aap Masnad e Khilafat Par Rahe aur 17 ya 19 Ramzanul Mubarak ko Ibn Mulzim Kharji k haatho Aap رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه jakhmi huwe aur 21 Ramzan Sharif ko Aap رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ki sahadat Huwi.
References :
(Imam Ibn Aseer Asadul Gaba Fi Marifat E Sahaba, Vol : 04, Pg : 128,132)
(Imam Jalaludin Suyuti At Tarikhul Khulfa, Pg : 132)
(Shah Waliullah Muhadis Dahelvi , Al Izalatul Khafa’n Khilafatul Khulafa, Vol : 04, Pg : 405)
(Marifat E Sahaba, Vol : 01, Pg : 100)
HAZRAT ALI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ka Aankh Kholna Sabse Pahle Deedar E Mustafa صلى الله عليه وآله Karna Aur Maula E Kainat Ki PEHLI GIZA Hazrat Fatima bint E Asad Radi Allaho Anha farmati hai Jab Hazrat Ali Ki Paida Huwe To Huzoor ne Hazrat Ali ko Apni Jaban e Mubarak Chusne Ki Hazrat Ali ne Chusa Aur Neend Me Chale gaye phir Agla Din Aaya Humne Doodh Pilane K Liye ek Dai Ko Bulaya Aap Ne Dudh Na Piya Jab Ye Baat Nabi E Rehmat Ko Pata Chali Aap ne Dobara Aapne Waisa Hi Kiya Hazrat Ali Phir Neend me Chale Gaye Ye Maamla Chalta Raha Jab Tak ALLAH Taala Ne Chaha
(Seerat E Halbiya Vol : 01, Pg : 382)

HAZRAT ALI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ki Kunniyat Aur Alkabat Honourable Name
ABUL HASAN KUNNIYAT :
Nabi E KARIM صلى الله عليه وآله ki Sabse Chaheti Beti Hazrat Fatima Radi Allaho Anha, Hazrat Maula E Kainat Aliyul Murtaza
رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه k Saath Farmaya Aur Aapke Bade Bete Imam Hasan bin Ali ki Nisbat Se Aap Ko ‘ABUL HASAN’ Kaha Jaata Tha.
(Imam Jalaludin Suyuti Tareekul Khulfa, Pg :  132)
ABU TORAB KUNNIYAT :  
Hadees :
Hazrat Sahl Bin Saad رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه  Se Rivayat Hai
“Ek Din Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه  Hazrat Sayyada Kaynaat Radi Allaho Anha K Pass Gaye Aur Phir Masjid E Nabvi me Aake Let Gaye.
Jab Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه وآله Pahuche To Sayyada Kainat Se Pucha Ali Kaha Hai ?
Farmaya Masjid Gaye Hai. Nabi E Rehmat صلى الله عليه وآله Masjid E Nabvi Pahuche Aur Dekha To Hazrat Ali Wahi Lete The Aapki Chadar Hat Gayi Thi Jis Se Peet Mitthi Se Aaluda Hogayi.
Nabi E Karim Apne Hath Mubarak Se Unki Mitthi Jhadne Lage Aur 02 Baar Farmaya
قُمْ أَبَا تُرَابٍ، قُمْ أَبَا تُرَابٍ
‘AYE ABU TORAB utho ! AYE ABU TORAB Utho’
Reference :
(Sahi Bukhari, Vol : 01, Pg : 161, Kitab No 08, Kitabus Salat, Baab : Masjid Me Mard K Sone Ka Bayan, Hadees : 441 “English -Book No :08, Hadees : 90”)
Jab Nabi E Karim  صلى الله عليه وآله ne Maula E KAYNAAT ko ye Lakab se Pukara Uske baad se Hazrat Ali Ko Sabse Pasandida Naam Yehi hogaya.
Hazrat Aliyul Murtaza ko Sabse Pasand Naam ABU TORAB Hogaya
Hadees :
”Hazrat Sahl Bin Saad رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه  farmate Hai Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Ko Sabse Pasandida Naam ABU TORAB Tha Jab Bhi Hum Unhe ABU TORAB Kehke Bulate Wo Khush Hojate”
Reference :
(Sahi Bukhari, Vol : , Pg : , Kitab No 78, Kitabul Adab, Hadees : 6204 “English - Book No : 78, Hadees : 228”)
(Sahi Bukhari Hadees :6280, “English No : Book No 79, Hadees : 54”)
(Imam Bukhari Al Adabul Mufrad, Vol : 01 Pg : 440, Hadees : 852)
Isi trah se Aapka Ye Naam Abu Torab Mashoor huwa chunki Ye Naam Huzoor  صلى الله عليه وآله ne ata kiya tha isliye ab iske maane ko dekhe to iska matlab Hai “Mitthi k Baap - Father of Soil” to ab koi jaahil iska direct meaning le aur kahe k dekho dekho ALI Mithhi k baap hai Jabki ALLAH taala Ne to ASHRAFUL MAKHLOOKAT banaya hai to yakinan kaha jayga ye pagal insaan hai.
Ussi tarah bataur e Aazizi Ulma Fukaha Khud ko SAG kahte hai iska matlab ye nhi hota k wo hakikat k SAG hogye balki ye bataur e Aazizi aur inkesari hai k SAG ki wafadari AULIA se kitni azeem hai iska ek jhalak dekhna ho to bas yaha waha ki Kitab nhi warna kahenge k ye kisse kahani le aaye QURAN SURAH KAHAF 10 baar ek ek aayat gor se padhle samajh aajaye to kayamat tak kabhi SAG kehne pe aitraaz nahi karnge badmazhab. IN SHA ALAH TAA’LA HAZRAT ALI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Aur QURAN E KARIM
Hazrat Ali K Manakib o Fazail Me Allah Taala Ne Bahot Si Aayat E Quran e Karim me Nuzool ki hai aur sab yaha likh paana Mumkin hi nahi hai mai is talluk se kuch aayat e Karima Aur Hadees e Nabvi Alahimusalam bayan karunga.
Hadees :
Quran Ali K Saath Aur Ali Quran K Saath,
Is tarah ek aur hadees e paak me aaya
“Ali Aur Quran Hauz e Kausar Tak Ek Dusre Se Juda Nahi Honge Balki Saath Rahenge”
(Al Mustadrak lil Hakim, Vol : 04, Pg : 120, Hadees : 4604)
(Imam Tabrani ne ye hadees Hazrat Umme Salma Radi Allaho Anha Se nakl kiya)
(Imam Haythami As Sawaike Muharika, Pg : 421)
(Imam Suyuti Ne Jam Ul Jawame)

Quran :
01) Hazrat Abdullah Ibn Abbas Farmate Hai Quran E Karim Me Jis Jagah يا أَيُّهَا الَّذينَ آمَنوا
Hai Waha Samajh lena Chahye ki Hazrat Ali Unke Ameer Wa Sharif Hai. Allah Taala Ne Jaha bhi Ali Ka zikr farmaya Khair K Saath Farmaya Hai.
(Imam Suyuti Tarikhul Khulfa Pg : 258)  
02) لِنَجعَلَها لَكُم تَذكِرَةً وَتَعِيَها أُذُنٌ واعِيَةٌ
“Ki Usse Tumhare Liye Yaadgaar Kare Aur Usse Mehfooz Rakhe Woh Kaan Ki Sunkar Mehfooz Rakhta Ho”
(Surah No 69 Surah Haqqah Ayat 12)
Ye Aayat Jab Nazil Huwi To Nabi E Karim صلى الله عليه وآله ne farmaya “Maine Apne Rab Se Ali K Liye Sawal Kiya Ki Yaa Allah Ali Ko Naa Bhulne waali yaad dhast ata farma chunache Hazrat Ali Farmate k Dua K baad Maine Jo Kuch bhi Nabi E Karim صلى الله عليه وآله se Suna Wo yaad raha Phir kabhi naa bhula.
References :
(Imam Fakrudin Razi At Tafseer Ul Kabeer, Pg : 107 Is Aayat k tahet) (Tafseer E Hussaini Vol : 02, Pg : 566)
03) نَّما أَنتَ مُنذِرٌ ۖ وَلِكُلِّ قَومٍ هادٍ
“Tum To Dar Sunane Waale Ho Aur Har Kaum K Haadi”
(Surah No 13 Surah Radd Ayat 07)
Hazrat Abdullah ibn Abbas Farmate Hai jab Yeh Aayat e Karima Nazil Huwi To Nabi E Karim  صلى الله عليه وآله ne Apna Daste E Aqdas Apne Sine Mubarak me rakhkar farmaya Aye Ali Tu Haadi Hai Aur Mere Baad Raah Paane Waale Tujhse Raah Paynge Wilayat k Silsila Tujhse Jaari Honge Aur Ummat k Aulia Ulema Aur Gaus Aur Aftab Tujhse Faiz Paaynge”
(Tafseer E Kabeer Misri Al Zujuttase Ashar Pg : 14)
04)Is Tarah aur bhi Bahot si ayat hai Surah Baqrah Ayat 274,
الَّذينَ يُنفِقونَ أَموالَهُم بِاللَّيلِ وَالنَّهارِ سِرًّا وَعَلانِيَةً فَلَهُم أَجرُهُم عِندَ رَبِّهِم وَلا خَوفٌ عَلَيهِم وَلا هُم يَحزَنونَ
“Wo Jo Apne Maal Khairat Karte Hai Raat Me Aur Din Me Chupe Aur Jaahir Unke Liye Unka Inaam Hai Unko Naa Kuch Andesha Ho Na Kuch Gam”
(Surah Baqraah Ayat 274) Is aayat ki tashreeh Sakhawat E Ali k bayan me aaygi In Sha Allah Taala.

ILM O HIKMAT KA DARWAJA HAZRAT ALI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه
HAI
Hadees :
Hazrat Ali se rivayat hai Nabi E Karim صلى الله عليه وآله Ne Irshad Farmaya
أنا مدينة العلم وعلی بابها
“MAI ILM KA SHAHER HOON AUR ALI USKA DARWAJA ”
Reference :
(Imam Hakim AL Mustadrak, Vol : 04, Pg : 96, Hadees : 4613)
(Tabrani Aur Al Bazzaz ne Is Rivayat ko Hazrat Abdullah ibn Jaabir Radi Allaho Anho Se Rivayat ki)
Imam Jalaludin Suyuti AlaihiRehma Likhte Hai
YEH HADEES HASAN HAI jinhone Isko MAUZU kaha Unhone Galti Ki Hai.
(Tarikhul Khulfa Pg : 257)

Hadees :
Nabi E Karim صلى الله عليه وآله Ne Irshad Farmaya
‏ أَنَا دَارُ الْحِكْمَةِ وَعَلِيٌّ بَابُهَا ‏
“MAI HIKMAT KA GHAR HOON AUR ALI USKA DARWAJA”
Reference :
(Jamai Tirmizi, Vol : 05,Pg : 402, Kitab No : 49 Kitabul Manakib, Hadees : 4089, “English No : 3723)

Hadees :
Nabi E Karim صلى الله عليه وآله Ne Irshad Farmaya k MAI ILM KA SHAHER HOON Abu Baqr uski Bunyaad, Umar Uski Deewar, Usmaan Uski Chatth(Roof) Aur ALI USKA DARWAJA
(Imam Daylami Al Musnadul Firdaus, Vol : 01, Pg :43, Hadees: 108)

ILM E HAZRAT ALI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه QURAN K JAAHIR AUR BAATIN KA ILM
Aaj Aise Jaahil fitne mullah mauzood hai jo Wahabiat k thekedar bhi hai magar afsos dawa hai hum Ahle Hadees Hai magar aata kuch nahi wo Ilm E Baatin maante nahi kehte hai aisa koi ilm nahi hota ye tum Sufiyo ki gadi baatein hai Nauzubillah Ilm E Baatin us ilm ko kaha jaata hai jo aam awaam samajh nahi paati aur aksar galat maane leleti hai jaisa k aksar dekha jaata hai TAASAWUF ki kitabe wahabi dikhate hai samajhte nahi bas un kitabo ko shirk shirk chillate hai tumko samajh aata nahi to Shirk hogya. ALLAH Taala Akal de inko aaye dekhe
Ilm E Baatin Hadees E Bukhari
Hadees :
“Hazrat Abu Hurraira رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه  Farmate hai Maine Nabi E KARIM صلى الله عليه وآله se Ilm K 02 Katore ya pyale (Bowl) Haasil Kiye Ek Ilm Maine Tumko Bayan Kar Diya Aur Dusra Tumhe Batadu To Tum Usko Samajh Bhi Naa Pao Aur Meri Gardan (Neck) Talwar Se Maardo”
Reference : (Sahi Bukhari, Vol :01, Pg : 124, Kitab Ilm, Baab No 42 Hifzul Ilm,Hadees : 120)
Ye konsa ilm tha jo digar Sahaba Tabain ko to Abu Hurraira Radi Allaho Anho ne bayan kar diya aur dusra ilm jaahir naa kiya aur kaha samajh nahi paaoge meri gardan mardoge ye wohi ilm e baatin hai jo wahabdo ko samajhta nahi SHIRK ki Talwar chalate hai phir.
Hadees :
Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Tadees e Naemat k taur pe Farmate Hai “ALLAH ki Kasam Mai Quran Ki Har Aayat Har Aayat K Baare Me Jaanta Hoon Ki Wo Kab Aur Kaha Naazil Huwi Aur Beshak Mere Rab Ne Mujhe Samajhne Waala Dil Aur Suwal Karne waali Jaban Ata Farmayi”
Reference :
(Imam Abu Noem Al Hilyatul Aulia Vol :01 , Pg : 108)
Hadees :
Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه khud Farmate Hai “Agar Mai Chahu TO SURAH FATIHA ki Tafseer ko 70 Oont (Camel Se Bhar) Du”
References :
(Imam Muhammad Abu Talib Al Makki ‘386 Hizri Al Mutwaffa’ ne Apni Kitab Qut Al Quloob Vol : 01, Pg : 92)
Matlab k agar tafseer sirf aur sirf Surah Fatiha ki likhu to 70 Oont k pusht par kitab laadh du ye ilm hai MAULA E KAYNAAT ka.

“Hazrat Abdullah bin Masood رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Farmate Hai Beshak QURAN E MAZID 7 Huroof (yaani LUGATO) Par utra Hai aur Inme Se Har Hurf Ka Jahir Bhi Hai Aur Baatin Bhi Hai Aur
Hazrat Aliyul Murtaza Aise Aalim Hai JInhe ALLAH ne ILM E ZAJIH AUR BAATIN DONO ATA KIYA”
(Ibn Asakir Tarikh E Damishq Vol : 24, Pg :400)

SURAJ PALAT AAYA ALI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه KI KHATIR
Ye Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه وآله Ka Azeem Mozeza Hai Makam E  Khaybar k Karib Ek Jagah Hai “Manzile Sahbaa” waha ye mozeza wakay huwa
“Hazrat Bibi Asma bint E Umais Radi Allaho Anha Farmati Hai Khaybar k Karib Manzil E Sahbaa Me Huzoor Nabi E  Rehmat Namaz E Asr Padh Kar Hazrat Ali Ki Godh Me Jaake Sar Rakh Sogaye Aur Aap Par Nuzool E Wahi Hone lagi. Hazrat Ali Aaka k Sar E Aqdas ko Yuheen Liye Bethe Rahe.
Yaha Tak K Suraj Guroob Hogaya Aur Aap Nabi E Karim Ko ye baat Maloom Huwi k Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Ki Namaz E Asr Kaza Hogayi.
To Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه وآله Ne Ye Duwa Farmayi ‘Aye ALLAH Taa’la , Ali Tere Aur Tere Rasool صلى الله عليه وآله Ki Itaat Me Tha Lihaja Uske Liye Suraj Ko Palta De Taaki Ali Namaz E Asr Dobara Padh Le.
Hazrat Bibi Asma bint E Umais Radi Allaho Anha Farmati Maine Apni Aankho Se Dekha k Suraj Palat Aaya Yaha Tak k Pahado Ki Chotiyoo’n Par Aur Jameen k Har Taraf Dhoop Fael (spread) Gayi”
Reference
(Imam Abdul Bakir Zarkani, Vol : 04, Pg : 113)
(Shah Abdul Haq Muhadis Dahelvi, Al Madarijun Nabuwat, Vol : 02, Pg : 252)
(Huzzatullah Alal Alameen, Pg : 368)


Subahat : Ab Is Hadees K baare me Kuch hazrat jisme Imam Jauzi Hai unhone isko Mauzu kaha lekin ye hadees Sahi Hai aur baaj Muhadiseen ne isko SAHI Isnaad se Likha hai aur sabne Imam Jauzi Ka raddh kiya hai.
Ek Wo grp jo Tassubi jiska ilmi level 02 kitab tak ka nahi jaise aajke wahabi hai wo bina tehkeek lakeer k fakeer ye kehdenge k Ye hadees mauzu hai kyu awaal to tassub aur Shan E Nabi nahi hazam hoti dusra Imam Bukhari Ne Isko Bukhari me nahi likha isliye nahi manege.
Jawabat  : Ab yaha mai ispe zyada bahes nahi karta warna sirf is hadees pe ALHAMDULLILAH itna ilmi zakheera hai k ye fakir khud 50 se zyada page likh sakta hai.
Ek Ilmi Jawab - Imam Bukhari Ka kisi hadees ko bukhari sharif me naa likhna ye saabit nahi hota k wo hadees hi nahi Imam bukhari ko 4 lakh se zyada hadees yaad thi jinme EK Lakh to SAHI Isnaad yaad thi baaki 3 LAKH jo hai usme bhi sab jaef ya mauzu nahi balki hadees ki inke elawa bhi dusre darje hai jo acceptable hai wo bhi shamil hai.
Ab wo 1 LAKH me se jisme se sirf 7500 se thoda zyada Bukhari me jama ki usme agar Single karde to puri bukhari me sirf approximately 2300 hadees hai to baaki wo 97,500 hadees kaha hai ?
Kya sirf 2500 hadees padhke koi Muhadis hojayga ?
Un hadees ko dusre Muhadiseen ne apni kitabo me nakl kiya hai. Dusra ye kehna k Aisa mozeza mumkin nahi hosakta ye jahalat aur gumrahi hai ALLAH Taala ki shan e shan uske qudrat me hai k usne Ambiya Alaihumsalam ko wo mozeze diye hai jaise Hazrat Suleman Alaihi salam ko Hawa pe Pani pe hukumat di k unke isharo se Hawa chalti. Kya badmazhab ALLAH k diye Mozeze ko nahi maante hai ?
HAZRAT ALI NE SOKE DIKHLAYA RASOOL ALLAH صلى الله عليه و آله وسلم K BISTAR PAR
Ye Wakya Bahot Famous bhi hai aur bil ittefak izma hai jispe kisi ka inkaar nahi iske haq hone me chahe khwarijeen ho munafikeen ho Ahle Tasheeh Shia ho ya AHLE SUNNAT MASLAK E HAQ Ho Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم ko jab Hukm E Hizrat Huwa Aap صلى الله عليه و آله وسلم ne Apne Karabatdar ahle khaana aur deegar Sahaba ko Madeena E Munawara Bhej diya aur aakhir me Aap Ko SIDDIK E AKBAR k saath jaana tha Huzoor Nabi E KARIM صلى الله عليه و آله وسلم k pass kuffaro ki kuch amanat thi ye bhi kabil e gaur baat hai k wo Kuffar, Huzoor صلى الله عليه و آله وسلم par jab tak imaan nahi laaye par uske baad bhi apni amanat Huzoor Rehmat E AALAM صلى الله عليه و آله وسلم k pass rakh dete the.
Jab Kuffaro ko ye pata chala k Hizrat horhi hai aur Sab Musalmaan MADINA E MUNAWARA jaa pahuche waha MADINA E MUNAWARA K ANSAR se bhi samjhauta hogaya to Musalmano ko nayi riyasat aur power mil jayga lihaja unhone mansooba banaya k kisi tarah HUZOOR REHMAT E AALAM صلى الله عليه و آله وسلم ko Shaheed kiya jaaye jiske sazis kisne rachi kya masla tha ye sab padhe jarur padhe kyuki yaha kuch chehre bhi jaahir hojaynge.
KUFFARO BAATIL KI CONFERENCE :
“Kuffaro ki bahot badi conference DARUN NADWA me munakkid huwi aur ye aisa mansooba tha jisme kuffar e makkah k tamam danishmand aur ba asar (powerful) shaks mauzood the bilkhusus Abu Sufyan, Abu Jahel, Utba, Shaiba, Jabeer bin Mutain, Nazar bin Haaris, Abul Bukhtari,Juma bin Aswad,Hakim Bin Hizam, Ummaya bin Khalaf aur bhi deegar rasookdar kuffar e Makkah mauzood Sardaraane Kuraish Mauzood The.
Isi conference me SHAITAN E MALOON BHI KAMBHAL (Blanket) Oodhe EK BUZURG shaks ki SURAT Me Aaya jab logo ne pucha Kon ho ? To KAHA SHAIKH E NAZD HOON tumhare maamle me Apni Rai Pesh karne aaya Hoon taaki tumhare maamlaat me apni rai rakhne aaya hoon. Ye Sun Kuffaro ne usko bhi apni mazlis me shamil kiya aur guftgu planning shuru ki.
Kuffaro ne apne mashware shuru kiye lihaja Abul Bukhari ne kaha k Inko Kaid karlo kisi khotri me band kardo haath pair baandh do aur ek surakh se bas khana peena diya karo.
Is par Shaitan Mardood ne kaha nahi KHUDA KI KASAM agar aisa karoge to unke jaanisar kisi bhi tarah unhe dhund lenge aur unke liye apni jaan pe khel k unko qaid se nikal lenge.
Abul Aswad Rabi ibn Amr Aamiri ne mashwara diya k inko MAKKAH se nikal do is se hume Inki QURAN aur ISLAM Ki TABLEEG se rahat mil jaygi.
Is mashware se SHAITAN uspe baras padha aur bola agar tumne aisa kiya to HAZRAT MUHAMMAD صلى الله عليه و آله وسلم k kalam me itni mithas hai k wo pure arab ko suna suna k Musalman apna haami bana denge aur tum par phir ek aisa lashkar hamla karega jiske aage tum bach nahi paaoge tum Gulam banke reh jaoge isliye Watan se Nikalne ki baat hi naa karo.
Is tarah ek k baad ek mashware log dete gaye aur sabke mashware ko naa kabool kiya gaya bil aakhir Abu Jahel bola k mera ek mashwara hai log ab uske mashware ko sun ne lage.
Abu Jahel ne kaha HAR KABILE (Tribes) Se Ek Bahadur talwar leke uthe aur Sab Ek Saath Hamla Karde AUR HAZRAT MUHAMMAD KO KATL KARDE.  
IS SE HOGA YE K KISI EK KABILE PE ILZAAM NAHI AAYGA NAAM SABKA AAYGA AUR BANU HASHIM ME ITNI KUWWAT NAHI K AKELE TAMAM KABILE SE LADE.
ABU JAHEL ki ye tazweez sun SHAITAN khusi se Jhoom utha aur kaha is se accha mashwara koi ho hee nahi sakta.
Aur Is Tazweez pe unki Conference khatm hogayi aur ye Shaitani mansooba leke wo apne apne ghar chale gaye.
Reference :
(Seerat E Nabuwat Lil Ibn Hissham, Baab : Hizrat E RASOOL Vol : 01, Pg : 191 - 193)
aur bhi seerat k tamam kutoob me tarikh me ye wakya bil iktelaf mauzood hai.

Is Conference ka zikr ALLAH TAALA NE QURAN E KARIM ME BHI FARMAYA.
وَإِذ يَمكُرُ بِكَ الَّذينَ كَفَروا لِيُثبِتوكَ أَو يَقتُلوكَ أَو يُخرِجوكَ ۚ وَيَمكُرونَ وَيَمكُرُ اللَّهُ ۖ وَاللَّهُ خَيرُ الماكِرينَ
“Aur Aye MEHBOOB ! Yaad Kijiye Jis Wakt Kuffar Aapke Baare Me Khufiya Tadbeer Kar Rahe The ki Aapko Kaid Karde Ya Shaheed Karde Yaa Saher Badr karde Ye Log Khufiya Tadbeer Kar Rahe The Aur ALLAH khufiya Tadbeer Kar Raha Tha Aur ALLAH ki Poshida Tadbeer Sabse Behtar Hai”
(Surah 08 Surah Anfal Ayat 30)
ALLAH TAA’LA Ki KHUFIYA TADBEER KYA THI ?
Kuffar e Makkah Agarche Huzoor صلى الله عليه و آله وسلم K Bade Dushman the lekin uske baad bhi uhone apni amanat Huzoor Nabi E Karimصلى الله عليه و آله وسلم  k pass Rakhe the
“Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم Ne Hazrat Ali Se farmaya k Tum Meri Sabz Rang Ki Chadar Oodh k Mere Bistar Pe So Raho Aur Mere Chale Jaane K Baad Tum Ye Amanat Unke Maliko Ko Saunp ke Madina Chale Aana.
Hazrat Ali Jaante The k Kuffar Ne Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم k Katl ki sazis rachi hai aur apne Mansoobe pe wo amal karnge lekin chunki HUZOOR E AKRAM صلى الله عليه و آله وسلم ne ye farmaya k MERE JAANE K BAAD TUM MADINA AAJANA lihaja mujhe Yakeen tha k Mai Zinda Rahunga Aur Madina Jaunga.
Hazrat Ali ne aisi aaram ki neend aayi k wo sote rahe aur phir khud ek sher padha wo ye hai.
“MAINE APNI JAAN KO KHATRE ME DAAL KE US JAAT E GIRAMI KI HIFAZAT KI JO JAMEEN PAR CHALNE WAALE AUR KHANE E KAABA HATEEM E KAABA K TAWAAF KARNE WAALO ME SABSE BULAND MARTABA HAI”
ALLAH TAALA NE IN KHUFIYA TADBEER SE BACHA LIYA.
Reference :
(Imam Abdul Bakir Zarqani Shara E Al Muwahibul Laduniya Lil Zarqani Vol : 01, Pg : 322)
(Madarijun Nabuwat Vol : 02, Pg : 80)
(Seerat E Nabuwat Lil Hissham Vol :01 Pg :196 Baab : Hizrat E Rasool)
Aur bhi bahot si kutoob e seerat me ye rivayat hai yaha jo baat kabile gaur hai jo ye
Hazrat Ali Ko Huzoor صلى الله عليه و آله وسلم Ne Farmaya TUM MADINA CHALE AANA AUR HAZRAT ALI ka ye kahna Mujhe Yakeen tha mai jaunga ye kya hai ALLAH k Bande yehi to GAIB KA ILM HAI jo ALLAH k Nabi صلى الله عليه و آله وسلم ne HAZRAT ALI Ki ZINDAGI ki Jamanat leli warna aise bistar pe sona jaha Maut ka tasawur bilkul karib hai.
To Hazrat Ali ka bhi akeeda yehi tha k Huzoor صلى الله عليه و آله وسلم ko Gaib ka Ilm ALLAH Taala Ki Ata se Hai.

HAZRAT ALI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه  KO HUZOOR NABI E AKRAM صلى الله عليه و آله وسلم KA AZEEM TABARRUK
Ye Wakya Hai Jung E Khaibar k kabl ka Jab Jung Fateh nahi horhi thi us wakt Maula E Kaynaat k Aankho Me Bahot Takleef Thi
Hadees :
Hazrat Sahl Bin Saad Farmate Hai Rasool E Karim صلى الله عليه و آله وسلم  Ne Khaybar k Din Irshad Farmaya Kal Mai Ye Jhanda Aise Shaks Ko Dunga Jiske Haath ALLAH Taala Fateh Dega Woh ALLAH AUR USKE RASOOL صلى الله عليه و آله وسلم  se Muhabbat Rakhta Hai aur ALLAH AUR USKA RASOOL صلى الله عليه و آله وسلم  US Se Mohabbat Karte Hai
Agle Roz Subah Har Insaan Ye Ummid Rakhta Tha K Jhanda Us Se Diya Jayga.
Farmaya Ali ibn Abu Talib Kaha Hai ?
Logon Ne Arz Kiya Yaa Rasool ALLAH صلى الله عليه و آله وسلم  unki Aankhe Dukhti Hai.
Unhe Bulaya gaya HUZOOR NABI  E KARIM ne APNA LUAAB E MUBARAK Nikala Aur Hazrat Ali Ki aankho Me Lagaya wo aise theek hogaye Jaise pahle dard tha hi nahi aur Jhanda unhe de diya gaya.
Maula E Kaynaat ne Pucha YAA RASOOL ALLAH kya Mai unse us wakt tak ladu jab tak Musalmaan na hojaye ?
Farmaya Narmi Ekteyar Kar Jab Tak K Tum Unke Maidan Me Naa Utar Jaao Phir Unhe Islaam Ki Dawat Do Aur ALLAH k Jo Hukook Unpe Hai wo unhe Batao
Allah Ki Kasam Koi Ek Shaks Ko Bhi Tumhare Jariye Se Hidayat Mil Jaaye.
Ye Tumhare Liye Is baat se Accha Hai k Tumhare Paas Surkh Oont Ho”
References :
(Sahi Bukhari Vol : 05 Pg :170 , Kitab No 56 Kitabuz Jihad, Baab : باب فَضْلِ مَنْ أَسْلَمَ عَلَى يَدَيْهِ رَجُلٌ Hadees : 3009)
(Sahi Bukhari, Kitabul Magazi, Baab : Ghazwa E Khaibar, Hadees : 4210)
(Sahi Muslim Vol : 04, Pg : 210, Kitab No 44 Fazail E Sahaba RadiAllaho Taala Alaihim Azmain, Baab : Manakib E Ali ibn Abu Talib, Hadees : 2406, “English : Book 44 Hadees : 53)
Is Topic Jung E Khaybar ki tareekh k liye deegar kutoob e Seerat aur bhi bahot si kitab padhe to kaafi maloomat hogi
Ab Is Hadees E Paak Ko Padhe To Kaafi Cheez Isme Jaahir Hoti Hai
- Jung E Khaybar ek Azeem Marka tha Kaum e Yahud k khilaf jinhone gaddari ki aur baar baar muhaida toda In Sha ALLAH Taala wakt raha to Jung e Khaybar ka pura pasmanjar aur ispe Western Authors k objection ka mukammal jawab likhunga
Nabi e Karim Ne Sahaba k Lashkar ko bheja par jung fateh naa hoparhi hai thi lihaja aakhir me farmaya K Kal Uske Haath me Jhanda dunga jo jung Fateh kar dega ye gaib ki khabre thi isliye to bata diya k jo jhanda lega wo fateh kar dega koi ek sahabi ne ye nahi kaha k Ya Rasool ALLAH ye to aane waale future ki khabre hai Gaib ki baat hai AAP kaise bata rahe hai AAPKo to gaib ka ilm nahi hai balki Saare sahaba ka akeeda yehi tha jo ab Rehmat e AALAM ne kah diya to FATEH hona hai aur wohi shaks karega jiske haath Jhanda hoga ye gaib ki khabre thi jo Huzoor Nabi E Karim bayan kar rahe hai magar kuch aise badimag hai k unka ilaaz hi nahi hai wo kaum ko aaj ki khabar nahi kal ki khabar nahi me hi ladte rehte hai.

HAZRAT ALI KA KHAYBAAR FATEH KARNA Kuwwat E Haidari Ki Ek Jhalak
Hazrat Ali ka wo makam hai k Aap Ko ASADULLAH bhi kaha jaata hai yaani ALLAH KA SHER - LION OF ALLAH ab jahir si baat hai jo ALLAH ka SHER Hai uski kuwwat ka andaza koi laga hi nahi sakta
Akele PURA KHAYBAR UKHAD DAALA
“Ghazwa E khaybar me Ek Yahudi Ne Aap Pe Waar Kiya Aur Aapki Dhaal Gir Gayi. To Aap Aage Badhke Kile K Darwaje Tak Pahuch gaye Aur Apne Haatho Se Kile Ka Fatak Ukhad Diya Aur Darwaje Ko Dhal Bana Liya Wo Darwaja Aap K Haath Me Barabar Raha Aur Aap Ladte Rahe Yaha Tak K Allah Ne AAP Ke Haatho Khaybar Fateh kar diya .
Ye Darwaja Itna Wajan Tha k jung K baad 40 Aadmiyon ne Milke Uthana Chaha To Naa Utha Paaye”
(Imam Bayhaqi Dalailul Nabuwah, Vol :04, Pg : 212)
Aala Hazrat Farmate Hai
SHER E SHAMSHIR JAN SHAHE KHAYBAR SHIKAN
PAR TAWE DAST E QUDRAT PE LAAKHO SALAM

Luab (Thook Mubaraka) Aur Dua e Mustafa Ki Barkat
”Hazrat Ali Farmate Hai Nabi E Karim 
صلى الله عليه و آله وسلم Ka Luaab e Dahen Lagne K Baad Meri Aankhe Kabhi Naa Dukhi”
(Musnad E Ahmad Ibn Hambal, Vol : 01, Pg :151, Musnad E Ali ibn Abu Talib, Hadees :571)

“Hazrat Abdur Rehman Ibn Abi Laila Se rivayat hai k wo Hazrat Ali K Hamraah The To unhone Hazrat Ali Ko Dekha Wo Garmi Me garm kapde aur Sardi Me Sard Kapde pahente The Unhone Iska Sabab Pucha To Hazrat Ali Ne farmaya k jab Nabi E Karim ne APNA Luaab E Dahen Meri Aankho Me Lagaya To saath Me Ye Bhi Dua Farmayi AYE ALLAH ALI SE SARDI AUR GARMI KO DUR FARMADE. Us Din Se Mujhe Na garmi Lagti Aur Naa Hi Sardi”
(Sunan Ibn Majah Vol : 01, Pg : 83, Kitabal Mukaddama, Hadees : 121, English No Hadees : 117)

HAZRAT ALI KA KABR WAALO SE KALAM KARNA
Hazrat Ali Ki Shan ka Ek Azeem Pahlu Ye Bhi Hai k Aap ko ALLAH Taala Ne Wo Kuwwat Ata Ki Thi k Aap Jameen Me hote huwe kabr Waalo Se Kalam Karte The.
Mujadid Imam Abdul Rehman Jalaludin Suyuti AlaihiRehma nakl karte hai
“Hazrat Saeed Ibn Mussayab Farmate hai hum Ameerul Momineen Hazrat Ali k Hamraah The Hamara Guzar Kabristan k pass se huwa.
Hazrat Ali ne Kabr Waalo Ko Salam Kiya Farmaya AYE KABR WAALO TUM PAR SALAMTI HO AUR ALLAH KI REHMAT.
Aur Farmaya AYE KABR WAALO TUM APNI KHABAR Bataoge Ya Hum Tumhe Bataye.
Hazrat Saeed bin Mussayab Farmate Hai Humne Kabr Se Salam ka Jawab Suna aur Koi Kahne Waala Kah raha Tha K Aye Ameerul Momineen Aap Hi Bata Dijiye Hamare Marne K Baad Kya Huwa.
Hazrat Ali Ne Farmaya SUN LO tumhara MAAL Takseem hogya Tumhari biwiyo ne dusre Nikah Kar liye, tumhari aulaad yateemo me shamil hogayi,Jo ghar tumne bahot Mazboot Banaya Tha Usme Tumhare Dushman Aabad Hogaye.
Ab Tum Apna Haal Sunao !
Phir Kabr Se Awaaj aayi Aye Ameerul Momineen Hamare Kafan Fat K taar taar hogaye, hamari aankhe Bah kar rukhsaro pe aagayi, hamare baal jhad kar muntshir hogaye khal (skin) tukde tukde hogayi,
Hamari Naak Se Peep bah rahi hai aur hamne jo kuch kiya wo paaya aur jo piche choda usme nuksaan hai”
(Imam Ibn Asakir Al Tarikh E Damishq Vol :27, Pg :310)
(Imam Suyuti Ash Sharaus Sudoor, Pg : 201)
Isme Kuch chize pata chalti hai Hazrat Ali Ki Kuwwat e Samayi Sun Ne Ki Kuwwat aur Murdo k barzakhi halaat kaise hai aur hamare liye bhi bahot ibraat hai.
JAGA JEE LAGANE KI DUNYA NAHI HAI
YE IBRAT KI JAA HAI TAMASHA NAHI HAI

Huzoor E Akram صلى الله عليه وآله Ka FARMAAN ALI MERE BHAI HAI
Hadees :
”Hazrat Abdullah Ibn Umar رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه se rivyata Hai Jab Nabi E Karim صلى الله عليه وآله Ne Madina Munawara me Muhajireen Aur Ansar k darmiyan Bhai chara kayam farmaya.
To Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه is haal me Nabi E Karim صلى الله عليه وآله kay pass tashrif laaye k Aapke aankho se aansu jaari the Aapne Farmya YA RASOOL ALLAH aapne Sahaba k Kayam Bhaichara Farmaya Lekin Kisi ne Mujhe Bhai Naa Banaya.
Nabi E Karim صلى الله عليه وآله Ne Farmaya
أَنْتَ أَخِي فِي الدُّنْيَا وَالآخِرَةِ
Yaani Tum Dunya Aur Aakhirat Me Mere Bhai Ho”
References :
(Jamai Tirmizi Vol : 05, Pg : 401, Kitab No 49 kitabul Manakib, Hadees : 4086 “English Book No : 46, Hadees : 3720)

Is Hadees ki Shara Me Hakimul Ummat Mufti Ahmad Yaar Khan Naeemi Rahimullah Likhte Hai
“Yaani Tum Rishte Me Bhi Mere CHACHA JAAD BHAI ho Aur Ab is Akde Muaakhat Me Bhi Yani bhai chara Kayam karne me bhi Mere Bhai Ho.
Magar Khayal Rahe Kabhi Hazrat Ali Ne Huzoor Nabi E Karim Ko APNA BHAI KEH KAR NA PUKARA Jab Bhi Pukara Hai YA RASOOL ALLAH keh ke hi pukara Hai, To phir kisi Aire gaire Ko bhai kahke Pukarne Ka Haq Kaisa Hoga ? ”
References :
(Miratul Manajih Shara E Mishkat Ul Masabih, Vol : 08, Pg : 418)
HASAN HUSSAIN JANNATI NAWJAWANO K SARDAR HAI AUR ALI UNSE AFZAL HAI
Hadees :
  عَنِ ابْنِ عُمَرَ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ ـ صلى الله عليه وسلم ـ
‏ "‏ الْحَسَنُ وَالْحُسَيْنُ سَيِّدَا شَبَابِ أَهْلِ الْجَنَّةِ وَأَبُوهُمَا خَيْرٌ مِنْهُمَا ‏"‏ ‏.‏
Hazrat Abdullah Ibn Umar Se Rivayat Hai Rasool Allah Ne Farmaya “Hasan Aur Hussain Jannati Nawjawano k Sardar Hai Aur Unke walid Unse Afzal Hai”
(Sunan Ibn Majah Vol :01, Kitab No : 01, Kitab Al Mukadama Hadees : 123)

HAZRAT ALI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه  KO DEKHNA IBADAT HAI
Hadees :
“Hazrat Abdullah Ibn Masood رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه se rivyata Hai Nabi E Karim صلى الله عليه وآله Ne Irshad Farmaya ALI KO DEKHNA IBADAT HAI”
References :
(IMAM AL MUSTADRAK, Vol : 04, Pg : 118, Hadees : 4737)

HAZRAT ALI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Ba Misl Hazrat Haroon
Hazrat Saad رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Se Rivayat Hai k Rasool Allah صلى الله عليه وآله Ne Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Se Farmaya
Nabi E Karim صلى الله عليه وآله Jung E Tabook K Liye Jaane Lage to Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Bulaya Aur Madina Me Apna Khalifa Mukhatib Kiya, Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Ne Farmaya Kya Aap Mujhe Aurato Aur Baccho k Saath Chode Jaa Rahe Hai ?
Huzoor Nabi  E Karim صلى الله عليه وآله Ne Farmaya Kya Tum Is Baat Se Raazi Nahi Tum Mere Darbaar Me Wo Martaba Haasil Ho Jo Hazrat Haroon,Ko Darbaar E Hazrat Moosa k liye Me Tha Magar Ye K Mere Baad Koi Nabi Nahi”
References :
(Sahi Bukhari, Vol : Pg : Kitab No 64 Kitabul Magazi, Baab : Ghazwa E Tabook, Hadees : 4416)
(Sahi Muslim, Vol : Pg : Kitab No 44 Fazail E Sahaba, Baab : Min Fazail E Ali Ibn Abu Talib, Hadees : 2404)

Aur Bukhari Muslim ki Dusri rivayat Me
“Tum Mere Liye Aise Hi Ho Jaise Moosa K Nazdeek Haroon Ka Makam Tha Magar Ye K Mere Baad Koi Nabi Nahi”
Reference :
(Sahi Muslim, Vol : Pg : Kitab No 44 Fazail E Sahaba, Baab : Min Fazail E Ali Ibn Abu Talib, Hadees : 2404)
(Sahi Bukhari, Vol : Pg : Kitab No 62 Fazail E Ashabun Nabi, Baab : Manakib E Ali Ibn Abu Talib, Hadees : 3706)

HAZRAT ALI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Hazrat Isaa Ki Munasabat 
Nabi E Karim صلى الله عليه وآله Ne Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Ko Mukhatib Karke Farmaya “Tum Me Hazrat Isaa Ki Misaal Hai Jinse Yahood Bugz Rakha Hatta K Unki Walida Mazida Ko Tohmat Lagayi Aur Unse Isayo Ne Muhabbat Ki To Unhe Us Darje Me” Pahaucha Diya Jo Unka Naa Tha.
Phir Hazrat Ali Ne Farmaya
“Meri Muhabbat Me 02 Kism K Log Halaak Honge Meri Muhabbat Me Ifraat Karne Waale Mujhe Un Sifaat Se Badhaynge Jo Mujh Me Nahi Aur Bugz Rakhne Waalo Ka Bugz Unhe Ispar Ubharenge Mujhe Bohtaan Lagaynge”
References :
(Musnad E Ahmad Ibn Hambal, Vol : 01, Pg : 336, Hadees : 1376)
(Musnad E Abu Yaala, Musnad E Ali bin Abu Talib, Vol : 01,Pg :247 Hadees : 530)

Hadees e Paak me Huzoor Nabi E Karim ne Gaib ki baatein bayan ki
Jisme Hazrat Ali ko Misl E Isaa Bayan huwa lihaja ye hona hi tha
Hazrat Isaa ko Maan ne waale kul 03 group hai
i) Yahudi - inlogo ne itni adawat ki k unki walida par bohtan bandh diya.
ii) Isai - Ye logone Hazrat Isaa se muhabbat aur unpe Imaan laane ka dawa kiya hai par muhabbat ko aisa follow kiya k Khuda Ka Beta hi maan liya.
iii) Musalmaan - Ummat E Muslima ne Hazrat Isaa ko unke makam aur maratib par maana yaani jo Sahi Maan ne ka haq hai.
Jis Tarah Hazrat Isaa k talluk se ye dono tabka halaak huwa usi tarah ab aaye Maula Ali ki taraf dekhe

Hazrat Ali k talluk se bhi So called Kalma Go Musalman me bhi giroh bane aur halak huwe  
i) SHIA RAFZI - inlogo ne bhi itna dawa e Muhabbat kiya k Hazrat Ali ko utna maana jo haq naa tha aur unki Muhabbat me dusre Sahaba par tabbara karte yaha tak aqaid rakhe k QURAN utarna Nauzubillah Ali pe tha utar gaya MaazALLAH Huzoor E Karim pe.
Astagfirullah.
ii) KHWARIJEEN - Munafik : ye adawat e ALI me itna gire k hosh tak naa raha k kisko Kafir bolte aaye Hazrat Ali ko mazboor kamzor samajhna unko Kaafir bolna goya unse adaawat me dub gaye ye dono tabka halaak huwa.
iii) YE MASLKA AHLE SUNNAH ka Tabka Haq hai jisne Maula E Kaynat ko unke mansab aur makam pe maana jo ALHAMDULLILAH Hum Ahle Sunnat Hai.
ye hai us hadees ka thoda sa khulasa ab ye hadees bhi wohi maanega jiska Aqeeda Imaan o K AAP HUZOOR ko ilme Gaib tha.
HAZRAT ALI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Ki Muhabbat Ka Takaza Baaj Aise bhi hai jo rafzi hai shia hai jinka daawa hai Hazrat Ali se muhabbat ka par unka haal kya kahe Hadees : "Hazrat Ali 
رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه farmate Hai Nabi E KARIM  k baad Sabse behtar Hazrat Abu Baqr Aur Hazrat Umar Radi Allaho Anhuma Azmain Hai Aur aage Farmaya MERI MUHABBAT AUR SHAIKHEN KARIMAIN (Abu Baqr Aur Umar) Ka Bugz Kisi Momin k Dil Me Jama Nahi Hosakta"
Reference : (Imam Tabrani Al Maj'mau Ausat Vol : 03, Pg : 79, Hadees : 3920) Goya Hazrat Ali Ne Khud Farma Diya k Mujhse Muhabbat Dawa jhuta hai jab tak Shaiken Ki Muhabbat Na Ho. In Sha ALLAH Taala Next Post Is se related hogi
Jisme Hazrat ALI KO MAULA KAHNA MUSHKIL KUSHA KAHNA Kaisa
aur is tarah k deegar aitraaz pe jawab CLICK HERE FOR POST 02

No comments:

Post a Comment